mirī  navā  mirī  tadbīr  tak  nahīñ  pahuñchī
ye  mere  ḳhvāb  kī  ta.abīr  tak  nahīñ  pahuñchī
tire  jamāl  kā  partav  aziiz  hai  lekin
tirī  adā  tirī  tasvīr  tak  nahīñ  pahuñchī
yahī  bahut  hai  ki  ham  manziloñ  se  ho  aa.e
hamārī  kaj-ravī  tāḳhīr  tak  nahīñ  pahuñchī
kamāñ  se  kaisī  shikāyat  ki  vo  hai  nā-bīnā
hadaf  kī  be-nigahī  tiir  tak  nahīñ  pahuñchī
hamāre  dil  se  uThī  hausla-shikan  āvāz
magar  ye  paañv  kī  zanjīr  tak  nahīñ  pahuñchī
sisak  rahī  hai  jo  dahlīz-ḳhāna  meñ  dīmak
hazār  shukr  ki  shahtīr  tak  nahīñ  pahuñchī
havā  meñ  uThte  rahe  haath  be-sabab  'mohsin'
chamak  duāoñ  kī  tāsīr  tak  nahīñ  pahuñchī