zalzaloñ  ne  kiyā  yuuñ  shahr  ko  mismār  ki  bas
chīḳh  uThe  ḳhauf  se  bām-o-dar-o-dīvār  ki  bas
bārisheñ  le  ga.ī  haiñ  saarā  asāsa  merā
mehrbāñ  itnā  huā  abr-e-guhar-bār  ki  bas
ab  kisī  dil  meñ  nahīñ  mimbar-o-mehrāb  kā  ḳhabt
aise  badnām  hue  jubba-o-dastār  ki  bas
itnī  mai  bhī  na  milī  hoñT  zarā  tar  karte
apnī  taqdīr  pe  vo  ro.e  haiñ  mai-ḳhvār  ki  bas
shahr-e-taḳhrīb  meñ  kyā  ḳhvāhish  ta.amīr  kareñ
aise  tārāj  hue  kūcha-o-bāzār  ki  bas
ab  ke  ḳhurshīd  ne  barsā.ī  hai  vo  tārīkī
sar-barahna  nikal  aa.ī  hai  shab-e-tār  ki  bas
zulm  vo  zulm  ajal  DhūñDhtī  phirtī  hai  panah
sabr  vo  sabr  ki  sharminda  hai  āzār  ki  bas
yār-o-aġhyār  ne  dekhā  hai  ta.ajjub  se  bahut
'mohsin'-ehsāñ  pe  thī  vo  tīroñ  kī  bauchhār  ki  bas