thiraktī  lau  kī  bas  ik  āḳhirī  duā  suntā
phir  us  ke  ba.ad  na  kuchh  mauja-e-havā  suntā
mujhe  bhī  lagtī  kuchh  āsān  manzil-e-dushvār
jo  dūsroñ  kī  sadā-e-naqūsh-e-pā  suntā
kuchh  is  qadar  bhī  zamāne  meñ  qaht-e-harf  na  thā
vo  āshnā  thā  to  āvāz-e-āshnā  suntā
ba-juz  zaḳhīra-e-auhām  paas  kuchh  bhī  nahīñ
ye  baat  kaash  vo  girvīda-e-anā  suntā
use  pukār  chukā  zindagī  meñ  haar  chukā
mirā  ḳhudā  thā  to  phir  merī  iltijā  suntā
ham  ek  umr  se  'mohsin'  ḳhumār-e-ḳhvāb  meñ  haiñ
hamārī  baat  zamāne  meñ  koī  kyā  suntā