ham  bhī  zinda  haiñ  ajab  kāvish-e-iz.hār  ke  saath
guftugū  karte  haiñ  ghar  ke  dar-o-dīvār  ke  saath
ham  ne  aise  bhī  faqīhān-e-haram  dekhe  haiñ
bech  dete  haiñ  fazīlat  bhī  jo  dastār  ke  saath
hairatī  huuñ  vo  musalmāñ  ko  musalmāñ  karne
sar-e-bāzār  nikal  aate  haiñ  do-chār  ke  saath
kyā  zarūrat  hai  unheñ  manzar-o-pas-manzar  kī
jo  kahānī  hī  badal  dete  haiñ  kirdār  ke  saath
aise  ḳhurshīd  kī  bhī  ham  ne  pazīrā.ī  kī
jo  dam-e-sub.h  nikaltā  hai  shab-e-tār  ke  saath
chiiz  dukkāñ  se  uThā  kar  vahīñ  rakh  detā  huuñ
roz  ye  hotā  hai  mujh  aise  ḳharīdār  ke  saath
'mohsin'-ehsān  mashaqqat  kī  bhī  had  hotī  hai
tum  to  mar  jāoge  bār-e-ġham-e-dil-dār  ke  saath