safar  meñ  yaad  na  aa.e  koī  Thikāna  hameñ
ġham-e-zamāna  lagā  aisā  tāziyāna  hameñ
amīr-e-shahr  ne  kāġhaz  kī  kashtiyāñ  de  kar
samundaroñ  ke  safar  par  kiyā  ravāna  hameñ
jahāñ  se  saath  zamāne  ko  le  ke  chalnā  thā
vahīñ  pe  chhoḌ  ga.ī  gardish-e-zamāna  hameñ
har  ek  samt  khaḌī  haiñ  buland  dīvāreñ
tamām  shahr  nazar  aa.e  qaid-ḳhāna  hameñ
mulūk-e-ham-nafasāñ  dekh  kar  ye  dhyān  aayā
ki  kaash  phir  mile  dushman  vahī  purānā  hameñ
havā-e-sub.h-e-dil-āzār  itnī  tez  na  chal
charāġh-e-shām-e-ġharībāñ  haiñ  ham  bujhā  na  hameñ
nigāh  paḌtī  hai  phir  kyuuñ  parā.ī  sham.oñ  par
agar  aziiz  hai  'mohsin'  charāġh-e-ḳhāna  hameñ