aql  kahtī  hai  koī  DhūñD  mafar  kī  sūrat
dil  ye  kahtā  hai  badal  jā.egī  ghar  kī  sūrat
kaun  raste  meñ  inheñ  chhoḌ  ke  jā  saktā  hai
ḳhvāhisheñ  hotī  haiñ  sāmān-e-safar  kī  sūrat
aadmī  taash  ke  patte  haiñ  tire  hāthoñ  meñ
ai  ḳhudā  tū  bhī  to  hai  shobada-gar  kī  sūrat
merī  tar-dāmanī-e-chashm  pe  yuuñ  tanz  na  kar
maiñ  sadaf  huuñ  tū  mirā  dil  hai  guhar  kī  sūrat
apnī  hī  zaat  kā  ik  dā.era  bun  rakkhā  hai
apnī  gardish  meñ  haiñ  ham  log  bhañvar  kī  sūrat
jaane  kis  samt  ye  shorīda-sarī  le  jaa.e
zad  meñ  āñdhī  kī  huuñ  TuuTe  hue  par  kī  sūrat
kaun  aayā  sar-e-sahrā-e-mohabbat  'mohsin'
zarra  zarra  mahak  uTThā  gul-e-tar  kī  sūrat