Mohsin Ehsan

KHulus ho to dua mein asar bhi aata hai

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
ḳhulūs ho to duā meñ asar bhī aatā hai
shajar harā ho to us meñ samar bhī aatā hai
merī samā.at o bīnā.ī chhīnñe vaale
maiñ sun bhī saktā huuñ mujh ko nazar bhī aatā hai
tumheñ charāġh bujhāne kā zo.am hai lekin
hameñ tulū-e-sahar kā hunar bhī aatā hai
kalīsā o haram o dair mohtaram lekin
inhīñ kī zad meñ kahīñ merā ghar bhī aatā hai
falak-nashīñ sahī merā ḳhudā magar 'mohsin'
kabhī kabhī vo zamīñ par utar bhī aatā hai
Top Urdushayar.com