kis  e'timād  se  ilzām  dhar  ga.e  apne
hamāre  naam  ko  badnām  kar  ga.e  apne
ab  un  ke  naqsh-e-qadam  rāstoñ  meñ  kyā  DhūñDeñ
parā.ī  manziloñ  ko  ham-safar  ga.e  apne
bahār  ne  kiyā  mansūba-e-hinā-bandī
manāo  jashn  ki  sab  zaḳhm  bhar  ga.e  apne
phir  us  ke  ba.ad  faqat  maiñ  thā  merā  saayā  thā
jo  dasht  dasht  the  ham-rāh  ghar  ga.e  apne
jab  ek  miir  bhī  ham-sā.e  meñ  mire  royā
to  ye  gumāñ  huā  dīvār-o-dar  ga.e  apne
hameñ  adū  se  ho  'mohsin'  gila  to  kyūñkar  ho
hamāre  shahr  ko  vīrān  kar  ga.e  apne