raushniyāñ  badan  badan  tere  mire  lahū  se  haiñ
lams  kī  saarī  lazzateñ  jism  kī  hāv-hū  se  haiñ
qurbat-e-roz-roz  meñ  ranjisheñ  itnī  baḌh  ga.iiñ
vo  bhī  gurez-pā  se  haiñ  ham  bhī  bahāna-jū  se  haiñ
Dar  hai  ki  shām-e-hijr  meñ  dil  kā  diyā  bujhā  na  deñ
ab  ke  havā  kī  sāzisheñ  shola-e-ārzū  se  haiñ
jitne  ḳhizāñ  ke  Dhañg  haiñ  jitne  fazā  meñ  rañg  haiñ
mere  hī  ḳhār-o-ḳhas  se  haiñ  mere  hī  rañg-o-bū  se  haiñ
merī  matā-e-zindagī  ḳhvāhish-e-zaḳhm  hī  to  hai
mere  junūñ  ke  silsile  lazzat-e-justujū  se  haiñ
ḳhush  haiñ  ki  lauT  aa.e  haiñ  saare  musāfirān-e-ġham
garche  ye  surḳh-rū  nahīñ  phir  bhī  ye  surḳh-rū  se  haiñ
jis  ke  kamāl-e-tanz  se  shahr  sarāpā  zaḳhm  hai
us  ko  sabhī  shikāyateñ  mohsin-e-qand-ḳhū  se  haiñ