kar  apnī  baat  ki  pyāre  kisī  kī  baat  se  kyā
liyā  hai  kaam  batā  tū  ne  is  hayāt  se  kyā
yahāñ  to  jo  bhī  hai  raahī  hai  band  galiyoñ  kā
nikal  ke  dekhā  hai  kis  ne  hisār-e-zāt  se  kyā
thī  band  band  bahut  guftugū-e-yār  magar
khule  haiñ  uqda-e-dil  us  kī  baat  baat  se  kyā
vo  chup  lagī  hai  ki  hañstā  hai  aur  na  rotā  hai
ye  ho  gayā  hai  ḳhudā  jaane  dil  ko  raat  se  kyā
ye  rāz-e-dair-o-haram  hai  kisī  ko  kyā  ma.alūm
kahāniyoñ  ko  ilāqa  hai  vāqi.āt  se  kyā
shikast  kā  to  kisī  ko  jahāñ  gumāñ  bhī  na  thā
nikal  ga.e  haiñ  vo  maidāñ  hamāre  haat  se  kyā
haiñ  roz-e-abr  ke  mushtāq-e-dīd  to  lākhoñ
liyā  hai  kis  ne  magar  abr  ke  sifāt  se  kyā
har  ik  to  apnī  ġharaz  le  ke  ham  se  miltā  hai
uThā.eñ  fā.eda  kis  ke  ta.alluqāt  se  kyā
koī  to  maqsad-e-sher-o-adab  bhī  hogā  'umar'
na  hoñ  jo  kaam  kī  aisī  nigārshāt  se  kyā