jis  ā.īne  meñ  bhī  jhāñkā  nazar  usī  se  milī
mujhe  to  apnī  bhī  yaaro  ḳhabar  usī  se  milī
badal  badal  ke  chalā  samt  o  rahguzar  bhī  magar
vo  ik  maqām  ki  har  rahguzar  usī  se  milī
ham  aise  koī  hunar-mand  bhī  na  the  phir  bhī
vo  qadr-dāñ  thā  ki  dād-e-hunar  usī  se  milī
vo  kaun  haiñ  jo  banāte  haiñ  apnī  duniyā  ḳhud
hameñ  to  rone  ko  bhī  chashm-e-tar  usī  se  milī
ajab  thā  shaḳhs  jo  phirtā  thā  ḳhud  banā  talvār
chalī  jo  teġh  to  mujh  ko  sipar  usī  se  milī
qadam  qadam  pe  the  raste  meñ  mah-vashoñ  ke  hujūm
milī  kisī  se  to  jā  kar  nazar  usī  se  milī
na  kisht-zāroñ  meñ  dekhā  jise  na  bāġhoñ  meñ
har  ek  fasl  magar  fasl  par  usī  se  milī
tamām  umr  gurezāñ  rahā  thā  jis  se  maiñ
qadam  lahad  meñ  jo  rakkhe  kamar  usī  se  milī
basīrat-e-nigah-o-dil  paḌī  nahīñ  miltī
milī  jise  bhī  ye  daulat  'umar'  usī  se  milī