ye  merī  aahoñ  meñ  aañch  kaisī  ye  taav  kaisā
dahak  rahā  hai  ye  mere  andar  alaav  kaisā
ye  aag  kaisī  dil-e-hazīñ  meñ  lagī  huī  hai
ye  āñsuoñ  kā  hai  jānib-e-dil  bahāv  kaisā
ye  kaun  ham  ko  falak  se  paiham  bulā  rahā  hai
hai  is  jahāñ  meñ  ye  roz  kā  chal-chalāv  kaisā
mohabbatoñ  meñ  ravā  nahīñ  hai  ye  vaz.a-dārī
bane  ho  āshiq  to  ishq  meñ  rakh-rakhāv  kaisā
jab  ashk  āñkhoñ  kī  had  ke  andar  hī  maujzan  haiñ
to  phir  ye  āñkhoñ  ke  sāhiloñ  meñ  kaTāv  kaisā
koī  to  hai  jo  mujhe  Thaharne  ko  kah  gayā  hai
safar  meñ  'tāsīr'  varna  aisā  paḌāv  kaisā