naqāb-e-bazm-e-tasavvur  uThā.ī  jaatī  hai
shikast-ḳhurdoñ  kī  himmat  baḌhā.ī  jaatī  hai
bhaTakne  lagtā  hai  rāh-e-vafā  se  jab  aalam
hadīs-e-ishq  hamārī  sunā.ī  jaatī  hai
matā-e-hosh-o-ḳhirad  be-bahā  sahī  lekin
dar-e-habīb  pe  ye  bhī  luTā.ī  jaatī  hai
nazar  se  hotī  hai  lutf-o-karam  kī  bārish  bhī
nazar  se  barq-e-tapāñ  bhī  girā.ī  jaatī  hai
vufūr-e-shauq  kī  dekho  to  maslahat-koshī
junūñ  kī  baat  ḳhirad  se  chhupā.ī  jaatī  hai
kis  e'timād  se  āġhāz-e-daur-e-ulfat  meñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb  kī  duniyā  basā.ī  jaatī  hai
fazā-e-rūh  pe  tārīkiyāñ  musallat  haiñ
haram  meñ  sham-e-aqīdat  jalā.ī  jaatī  hai
dikhā  dikhā  ke  ma.āl-e-junūñ  kī  fitnagarī
bashar  ko  rasm-e-muravvat  sikhā.ī  jaatī  hai
matā-e-ishq-o-mohabbat  nigāh-e-ālam  se
kis  ehtiyāt  se  'fāriġh'  chhupā.ī  jaatī  hai