rah-e-hayāt  meñ  vo  bhī  maqām  aa.egā
yagāna  kaam  na  begāna  kaam  aa.egā
surūr-e-bāda-e-ranj-o-ġham-e-hayāt  kabhī
na  kaam  aayā  kisī  ke  na  kaam  aa.egā
hamārī  zindagī-e-muḳhtasar  kā  sarmāya
hamāre  ba.ad  zamāne  ke  kaam  aa.egā
badal  chukī  hai  fazā  ab  nizām-e-ālam  kī
na  kaam  daana  kisī  ke  na  daam  aa.egā
yaqīñ  hai  tishna-laboñ  ko  ki  un  kī  mahfil  meñ
vo  jab  bhī  aa.egā  bāda-ba-jām  aa.egā
vo  jis  kī  yaad  satātī  hai  rāt-din  'fāriġh'
na  qabl-e-sub.h  na  vo  ba.ad-e-shām  aa.egā