mirī  judā.ī  meñ  aañsū  bahā.e  jaate  haiñ
ye  fitna  merī  lahad  par  jagā.e  jaate  haiñ
ziyā-e-husn  ko  dargāh-e-dil  tarastī  hai
charāġh  dair-o-haram  meñ  jalā.e  jaate  haiñ
nahīñ  satāte  kisī  ko  bhī  jo  zamāne  meñ
vahī  zamāne  meñ  akasr  satā.e  jaate  haiñ
ziyā-e-husn  se  hotā  hai  jin  kā  dil  ma.amūr
charāġh  gor  par  un  kī  jalā.e  jaate  haiñ
fasānoñ  se  nahīñ  bantīñ  haqīqateñ  lekin
haqīqatoñ  se  fasāne  banā.e  jaate  haiñ
kahīñ  ġhurūr  takabbur  kahīñ  futūr-e-ḳhudī
hamārī  raah  meñ  rahzan  biThā.e  jaate  haiñ
adab  kī  mahfil-e-rañgīñ  meñ  rāt-din  'fāriġh'
mire  fasāne  hī  akasr  sunā.e  jaate  haiñ