ḳhvāb  meñ  bhī  na  kabhī  un  se  mulāqāt  huī
hameñ  hāsil  na  kabhī  vaj.h-e-mubāhāt  huī
fikr-e-fardā  hai  kabhī  ranj-o-ġham-e-dosh  kabhī
kis  qadar  rūh-e-bashar  morid-e-āfāt  huī
ḳhasta-hālī  pe  mirī  un  ko  bhī  ronā  aayā
ba.ad-e-muddat  mire  vīrāne  meñ  barsāt  huī
vaj.h-e-āshob-e-tamannā  huā  fikr-e-jannat
vaj.h-e-āsūdgī-e-rūh  munājāt  huī
tishnagī  miT  na  sakī  kām-o-dahan  kī  'fāriġh'
zindagī  muft  meñ  marhūn-e-ḳharābāt  huī