dard  jab  dil  meñ  samā  jaatā  hai
lazzat-e-zīst  baḌhā  jaatā  hai
ḳhūn-e-ma.asūm  se  dīvāroñ  par
ġham  kā  afsāna  likhā  jaatā  hai
ab  to  har  jazba-e-bebāk  kā  bhī
hausla  past  huā  jaatā  hai
jaane  kyuuñ  mujh  ko  hayā  aatī  hai
vaar  jab  un  kā  ḳhatā  jaatā  hai
ġham-e-ayyām  kā  har  ik  manzar
shiddat-e-dard  baḌhā  jaatā  hai
rafta  rafta  dil-e-dīvāna  bhī
mahram-e-rāz  huā  jaatā  hai
be-gunāhoñ  kā  bhī  ab  to  'fāriġh'
jiinā  dushvār  huā  jaatā  hai