Riaz Majeed

hum falak ke aadmi the sakinan-e-qarya-e-mahtab the

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
ham falak ke aadmī the sākinān-e-qarya-e-mahtāb the
ham tire hāthoñ meñ kaise aa ga.e ham to baḌe nāyāb the
vaqt ne ham ko agar patthar banā Daalā hai to ham kyā kareñ
yaad haiñ vo din bhī ham ko ham bhī jab mehr o vafā kā baab the
zar luTāte guzre mausam aane vaalī raushnī laatī ruteñ
chand yādeñ chand ummīdeñ hamārī ziist ke asbāb the
ḳhvāb aur tābīr haiñ do intihāoñ par hameñ ye ilm thā
ham jiye jaate the phir bhī apne kyā faulād ke āsāb the
ho sakī haiñ kab ḳhayāloñ kī ham-āhañgī kī zāmin qurbateñ
ek hī bistar pe sone vāloñ ke bhī apne apne ḳhvāb the
jo 'riyāz' aatā thā ham ko yaad vo ik qarya-e-sarsabz thā
chand raushan taaq the kuchh nuur meñ Duube hue mehrāb the
Top Urdushayar.com