Sajjad Haider

gajron kaliyon ke mausam mein yaad koi jab aata hai

Sajjad Haider

gajroñ kaliyoñ ke mausam meñ yaad koī jab aatā hai
ik an-dekhā ḳhushbū vaalā haath mujhe chhū jaatā hai
hiddat kaun milā detā hai sard ThiThurte jazboñ meñ
sochoñ par jo barf jamī hai kaun use pighlātā hai
jaane kitne manzar haiñ jo an-dekhe rah jaate haiñ
ik aisā bhī manzar hai jo āñkhoñ meñ rah jaatā hai
kirchī kirchī ḳhvāb hue to āñkheñ ḳhuuñ meñ Duub ga.iiñ
niiñd kī khiḌkī toḌ ke koī saarī raat jagātā hai
mere suune āñgan meñ 'sajjād' mirī parchhā.īñ hai
kis kī bholī soch kā paañv aise meñ dar aatā hai
Top Urdushayar.com