Sabiha Sadaf

na koi uljhan na dil pareshan na koi dard-e-nihan tha pahle

Sabiha Sadaf

Raisen, Madhya Pradesh, India

1972
na koī uljhan na dil pareshāñ na koī dard-e-nihāñ thā pahle
hamāre hāthoñ meñ titliyāñ thiiñ ye dil bahut shādmāñ thā pahle
har ek titlī pe bār-e-ġham hai aur andalīboñ kī aañkh nam hai
jahāñ pe ab ḳhaak uḌ rahī hai yahīñ kahīñ gulistāñ thā pahle
na buġhz dil meñ rahe na nafrat bas ek duuje se ho mohabbat
ham aao ta.amīr phir se kar leñ vahī jo hindostāñ thā pahle
vo merī chāhat kī raushnī se nikal ke zulmat meñ jī rahā thā
yaqīn mujh ko nahīñ thā lekin vo mujh se kuchh bad-gumāñ thā pahle
hamārī holī hai eid hai vo har ik ḳhushī kī umiid hai vo
vo paas aa.e to us se pūchheñ tū itne din se kahāñ thā pahle
tumhārī duniyā meñ ā.eñge ham tumheñ gale se lagā.eñge ham
janāb ham ko mile jo fursat darāz-e-kār-e-jahāñ se pahle
hai vahshatoñ kā ye daur kaisā kyoñ dahshateñ sar uThā rahī haiñ
kahāñ se le aa.eñ DhūñD kar ham vahī jo amn-o-amāñ thā pahle
Top Urdushayar.com