jalne  lage  ḳhalā  meñ  havāoñ  ke  naqsh-e-pā
sūraj  kā  haath  shaam  kī  gardan  pe  jā  paḌā
chhat  par  pighal  ke  jam  ga.ī  ḳhvāboñ  kī  chāñdnī
kamre  kā  dard  hāñpte  sāyoñ  ko  khā  gayā
bistar  meñ  ek  chāñd  tarāshā  thā  lams  ne
us  ne  uThā  ke  chaa.e  ke  cup  meñ  Dubo  diyā
har  aañkh  meñ  thī  TūTte  lamhoñ  kī  tishnagī
har  jism  pe  thā  vaqt  kā  saaya  paḌā  huā
dekhā  thā  sab  ne  Dūbne  vaale  ko  duur  duur
paanī  kī  uñgliyoñ  ne  kināre  ko  chhū  liyā
aa.egī  raat  muñh  pe  siyāhī  male  hue
rakh  degā  din  bhī  haath  meñ  kāġhaz  phaTā  huā