ek  qatra  ashk  kā  chhalkā  to  dariyā  kar  diyā
ek  musht-e-ḳhāk  jo  bikhrī  to  sahrā  kar  diyā
mere  TuuTe  hausle  ke  par  nikalte  dekh  kar
us  ne  dīvāroñ  ko  apnī  aur  ūñchā  kar  diyā
vārdāt-e-qalb  likkhī  ham  ne  farzī  naam  se
aur  hāthoñ-hāth  us  ko  ḳhud  hī  le  jā  kar  diyā
us  kī  nārāzī  kā  sūraj  jab  savā  neze  pe  thā
apne  harf-e-ijz  hī  ne  sar  pe  saaya  kar  diyā
duniyā  bhar  kī  ḳhaak  koī  chhāntā  phirtā  hai  ab
aap  ne  dar  se  uThā  kar  kaisā  rusvā  kar  diyā
ab  na  koī  ḳhauf  dil  meñ  aur  na  āñkhoñ  meñ  umiid
tū  ne  marg-e-nā-gahāñ  bīmār  achchhā  kar  diyā
bhuul  jā  ye  kal  tire  naqsh-e-qadam  the  chāñd  par
dekh  un  hāthoñ  ko  kis  ne  aaj  kaasa  kar  diyā
ham  to  kahne  jā  rahe  the  hamza-e-ye  vassalām
biich  meñ  us  ne  achānak  nūn-ġhunna  kar  diyā
ham  ko  gaalī  ke  liye  bhī  lab  hilā  sakte  nahīñ
ġhair  ko  bosa  diyā  to  muñh  se  dikhlā  kar  diyā
tīrgī  kī  bhī  koī  had  hotī  hai  āḳhir  miyāñ
surḳh  parcham  ko  jalā  kar  hī  ujālā  kar  diyā
bazm  meñ  ahl-e-suḳhan  taqtī.a  farmāte  rahe
aur  ham  ne  apne  dil  kā  bojh  halkā  kar  diyā
jaane  kis  ke  muntazir  baiThe  haiñ  jhāḌū  pher  kar
dil  se  har  ḳhvāhish  ko  'ādil'  ham  ne  chaltā  kar  diyā