bismil  ke  taḌapne  kī  adāoñ  meñ  nasha  thā
maiñ  haath  meñ  talvār  liye  jhuum  rahā  thā
ghūñghaT  meñ  mire  ḳhvāb  kī  tābīr  chhupī  thī
mehñdī  se  hathelī  meñ  mirā  naam  likhā  thā
lab  the  ki  kisī  pyālī  ke  hoñToñ  pe  jhuke  the
aur  haath  kahīñ  gardan-e-mīnā  meñ  paḌā  thā
hammām  ke  ā.īne  meñ  shab  Duub  rahī  thī
cigarette  se  na.e  din  kā  dhuāñ  phail  rahā  thā
dariyā  ke  kināre  pe  mirī  laash  paḌī  thī
aur  paanī  kī  tah  meñ  vo  mujhe  DhūñDh  rahā  thā
mālūm  nahīñ  phir  vo  kahāñ  chhup  gayā  'ādil'
saaya  sā  koī  lams  kī  sarhad  pe  milā  thā