pahlū  ke  ār-pār  guzartā  huā  sā  ho
ik  shaḳhs  aa.ine  meñ  utartā  huā  sā  ho
jiitā  huā  sā  ho  kabhī  martā  huā  sā  ho
ik  shahr  apne  aap  se  Dartā  huā  sā  ho
saare  kabīra  aap  hī  kartā  huā  sā  ho
ilzām  dūsre  hī  pe  dhartā  huā  sā  ho
har  ik  nayā  ḳhayāl  jo  Tapke  hai  zehn  se
yuuñ  lag  rahā  hai  jaise  ki  bartā  huā  sā  ho
qailūla  kar  rahe  hoñ  kisī  niim  ke  tale
maidāñ  meñ  raḳhsh-e-umr  bhī  chartā  huā  sā  ho
ma.ashūq  aisā  DhūñDiye  qahtur-rijāl  meñ
har  baat  meñ  agartā  magartā  huā  sā  ho
phir  ba.ad  meñ  vo  qatl  bhī  kar  de  to  harj  kyā
lekin  vo  pahle  pyaar  bhī  kartā  huā  sā  ho
gar  daad  tū  na  de  na  sahī  gāliyāñ  sahī
apnā  bhī  koī  aib  hunartā  huā  sā  ho