ab  TūTne  hī  vaalā  hai  tanhā.ī  kā  hisār
ik  shaḳhs  chīḳhtā  hai  samundar  ke  ār-pār
āñkhoñ  se  raah  niklī  hai  tahtush-shu.ūr  tak
rag  rag  meñ  reñgtā  hai  sulagtā  huā  ḳhumār
girte  rahe  nujūm  añdhere  kī  zulf  se
shab  bhar  rahīñ  ḳhamoshiyāñ  sāyoñ  se  ham-kanār
dīvār-o-dar  pe  ḳhushbū  ke  haale  bikhar  ga.e
tanhā.ī  ke  farishtoñ  ne  chūmī  qabā-e-yār
kab  tak  paḌe  rahoge  havāoñ  ke  haath  meñ
kab  tak  chalegā  khokhle  shabdoñ  kā  kārobār