chehre  pe  chamchamātī  huī  dhuup  mar  ga.ī
sūraj  ko  Dhaltā  dekh  ke  phir  shaam  Dar  ga.ī
mab.hūt  se  khaḌe  rahe  sab  bas  kī  line  meñ
kūlhe  uchhāltī  huī  bijlī  guzar  ga.ī
sūraj  vahī  thā  dhuup  vahī  shahr  bhī  vahī
kyā  chiiz  thī  jo  jism  ke  andar  ThiThar  ga.ī
ḳhvāhish  sukhāne  rakkhī  thī  koThe  pe  dopahar
ab  shaam  ho  chalī  miyāñ  dekho  kidhar  ga.ī
tahlīl  ho  ga.ī  hai  havā  meñ  udāsiyāñ
ḳhālī  jagah  jo  rah  ga.ī  tanhā.ī  bhar  ga.ī
chehre  baġhair  niklā  thā  us  ke  makān  se
rusvā.iyoñ  kī  had  se  bhī  aage  ḳhabar  ga.ī
rañgoñ  kī  surḳh  naaf  dākhiliyā  gul-āftāb
andhī  havā.eñ  ḳhaar  khaTak  kaan  bhar  ga.ī