har  ḳhvāb  kaalī  raat  ke  sāñche  meñ  Dhaal  kar
ye  kaun  chhup  gayā  hai  sitāre  uchhāl  kar
aaise  Dare  hue  haiñ  zamāne  kī  chaal  se
ghar  meñ  bhī  paañv  rakhte  haiñ  ham  to  sambhāl  kar
ḳhāna-ḳharābiyoñ  meñ  tirā  bhī  pata  nahīñ
tujh  ko  bhī  kyā  milā  hameñ  ghar  se  nikāl  kar
jhulsā  gayā  hai  kāġhzī  chehroñ  kī  dāstāñ
jaltī  huī  ḳhamoshiyāñ  lafzoñ  meñ  Dhaal  kar
ye  phuul  ḳhud  hī  suukh  kar  ā.eñge  ḳhaak  par
tū  apne  haath  se  na  inheñ  pā.emāl  kar