ye  mat  samajh  ki  tire  saath  kuchh  nahīñ  karegā
nizām-e-arz-o-samāvāt  kuchh  nahīñ  karegā
ye  terā  maal  kisī  roz  Das  hī  legā  tujhe
agar  tū  is  meñ  se  ḳhairāt  kuchh  nahīñ  karegā
abhī  piTārī  to  kholī  nahīñ  madārī  ne
tū  kah  rahā  hai  kamālāt  kuchh  nahīñ  karegā
mujhe  yaqīn  dilā  sab  rahegā  vaisā  hī
junūn-e-ahl-e-ḳharābat  kuchh  nahīñ  karegā
hamīñ  sabīl  nikāleñge  baiThne  kī  koī
vo  shaḳhs  bahr-e-mulāqāt  kuchh  nahīñ  karegā
agar  diloñ  meñ  lapaktī  hai  aag  nafrat  kī
to  phir  ye  ahd-e-muvāḳhāt  kuchh  nahīñ  karegā