agar  tum  rok  do  iz.hār-e-lāchārī  karūñgā
jo  kahnī  hai  magar  vo  baat  maiñ  saarī  karūñgā
mirā  dil  bhar  gayā  bastī  kī  raunaq  se  sau  ab  maiñ
kisī  jalte  hue  sahrā  kī  tayyārī  karūñgā
sar-e-rāh  tamannā  ḳhaak  Dālūñgā  maiñ  sar  meñ
jo  aañsū  bujh  ga.e  un  kī  azā-dārī  karūñgā
mujhe  ab  aa  ga.e  haiñ  nafratoñ  ke  biij  bone
so  merā  haq  ye  bantā  hai  ki  sardārī  karūñgā
maiñ  le  ā.ūñgā  maidāñ  meñ  sabhī  lafzoñ  ke  lashkar
aur  un  se  lauh-e-fikr-o-fan  pe  purkārī  karūñgā
ka.ī  ġham  aa  ga.e  haiñ  haal  merā  pūchhne  ko
maiñ  ab  is  haal  meñ  kis  kis  kī  dildārī  karūñgā