mazīd  kuchh  nahīñ  bolā  maiñ  ho  gayā  ḳhāmosh
is  ehtimām  se  us  ne  mujhe  kahā  ḳhāmosh
ab  aise  haal  meñ  kyā  ḳhaak  guftugū  hogī
ki  ek  soch  meñ  gum  hai  to  dūsrā  ḳhāmosh
so  yuuñ  huā  ki  lagā  qufl  nutq-o-lab  pe  mire
maiñ  tum  se  mil  ke  bahut  der  tak  rahā  ḳhāmosh
jab  ehtimām  se  rauñdā  gayā  vajūd  mirā
to  sāmne  vo  khaḌā  thā  gurez-pā  ḳhāmosh
maiñ  jāntā  huuñ  mirī  sar-kashīdgī  kā  sabab
so  mujh  se  baat  na  kar  mere  nāsehā  ḳhāmosh
samā.atoñ  meñ  na.ī  guuñj  kis  ne  rakkhī  hai
ki  har  taraf  se  uThī  ek  hī  sadā  ḳhāmosh
maiñ  ek  dasht-e-tamannā  meñ  niim  zinda  huuñ
havās-bāḳhta  ghāyal  barahna-pā  ḳhāmosh