jahān-e-fikr  pe  chamkegā  jab  sitāra  mirā
hunar  zamāne  pe  tab  hogā  āshkārā  mirā
abhī  se  mat  mire  kirdār  ko  marā  huā  jaan
tire  fasāne  meñ  zikr  aa.egā  dobārā  mirā
tujhe  darāhim-o-dīnār  kī  shahī  zebā
maiñ  mutma.in  huuñ  ki  lafzoñ  pe  hai  ijārā  mirā
ye  ishtiyāq  mirī  dastaras  vahāñ  tak  ho
ye  intizār  vo  kis  vaqt  hogā  saarā  mirā
rumūz-e-ishq  se  kab  hogī  āshnā.ī  tirī
mire  nadīm  tū  samjhegā  kab  ishārā  mirā
zamīn-e-qibla-e-avval  tujhe  ḳhudā  rakhe
ki  dil  huā  hai  tire  ġham  meñ  paarā  paarā  mirā