gumān  toḌ  chukā  maiñ  magar  nahīñ  koī  hai
sarā-e-fikr  meñ  baiThā  huā  kahīñ  koī  hai
mire  ḳhayāl  ko  detā  hai  nau-ba-nau  chehre
hai  aas  paas  koī  lams-e-marmarīñ  koī  hai
mirā  yaqīn  ki  duniyā  meñ  huuñ  akelā  maiñ
sadā-e-dil  mujhe  kahtī  hai  ġham-nashīñ  koī  hai
tirī  tabāhī  meñ  shāmil  nahīñ  hai  ġhair  koī
use  talāsh  to  kar  mār-e-āstīñ  koī  hai
nigāh  se  nahīñ  jaatā  koī  ḳhayāl-numā
havās-o-hosh-o-ḳhirad  ke  bahut  qarīñ  koī  hai
mirā  tumhārā  ta.alluq  bigaḌ  ke  ban  gayā  hai
mire  tumhāre  ḳhayālāt  kā  amiiñ  koī  hai
varā-e-zehn-o-zamāñ  kis  ne  kā.enāt  bunī
tū  kaise  kahtā  hai  koī  nahīñ  nahīñ  koī  hai