mez  qalam  qirtās  darīcha  sannāTā
kamrā  khiḌkī  zard  ujālā  sannāTā
merī  āñkhoñ  meñ  dhundlā.ī  gahrī  chup
aur  chehre  par  utrā  piilā  sannāTā
merī  āñkhoñ  meñ  likkhī  tahrīr  paḌho
hijr  tamannā  vahshat  sahrā  sannāTā
guuñj  uThī  hai  mere  andar  ḳhāmoshī
nas  nas  meñ  ghuT  ghuT  kar  bahtā  sannāTā
us  ke  saath  chalī  aatī  thiiñ  qilqāreñ
us  ke  ba.ad  huā  hai  kitnā  sannāTā
pahle  merī  zaat  meñ  thā  maujūd  koī
ab  hai  merī  zaat  kā  hissa  sannāTā
jhaag  uḌāte  dariyā  ke  hañgāme  par
naqsh  huā  dil  par  afsurda  sannāTā
maiñ  ne  ghanToñ  is  ummīd  pe  chup  sādhī
shāyad  ki  vo  toḌ  hī  degā  sannāTā
mil  kar  bain  kareñ  sab  merī  hijrat  par
chāñd  udāsī  jhiil  kinārā  sannāTā