Sadique Naseem

sukut-e-marg mein kyun rah-e-naghma-gar dekhun

Sadique Naseem

Taxila, Punjab, Pakistan

1924
sukūt-e-marg meñ kyuuñ rāh-e-naġhma-gar dekhūñ
maiñ ḳhud hī saaz kī mānind TuuT kar dekhūñ
mire dayār tire shahr haiñ ki sahrā haiñ
maiñ ek tarah kā manzar nagar nagar dekhūñ
vahī hoñ āriz-o-abarū-o-chashm-o-lab phir bhī
har ek chehre pe ik chehra-e-digar dekhūñ
ziyā-e-najm-o-mah-o-mehr-o-kahkashāñ se alag
ajiib raushaniyāñ tujh ko dekh kar dekhūñ
mirī kamī tujhe mahsūs ho rahī thī jahāñ
vahīñ pahuñch ke tirī raah umr bhar dekhūñ
ġhubār-e-rāh-e-numā.ī se aT ga.ī hai fazā
taras gayā huuñ ki rāhoñ ko ik nazar dekhūñ
tirī shahī kī havas meñ hai merī jaañ kā ziyāñ
maiñ tere taaj ko dekhūñ ki apnā sar dekhūñ
na pūchh harf-e-tamannā kī vus.ateñ 'sādiq'
chale jo baat to sadiyāñ bhī muḳhtasar dekhūñ
Top Urdushayar.com