azmat-e-fikr  ke  andāz  ayaañ  bhī  hoñge
ham  zamāne  meñ  subuk  haiñ  to  garāñ  bhī  hoñge
jin  sitāroñ  ko  ḳhudā  maan  ke  puujā  thā  kabhī
ab  unhīñ  par  mire  qadmoñ  ke  nishāñ  bhī  hoñge
kaise  rah  saktī  haiñ  jannat  kī  fazā.eñ  shaffāf
ḳhaak  uḌāne  ko  hamīñ  log  vahāñ  bhī  hoñge
be-sutūñ  azmat-e-farhād  kā  maz.har  hai  to  kyā
ahl-e-dil  kitne  hī  benām-o-nishāñ  bhī  hoñge
dil  ka.ī  aur  bhī  dhaḌke.eñge  mire  dil  kī  tarah
apne  qisse  ba-hadīs-e-digarāñ  bhī  hoñge
yuuñ  to  taz.īn-e-gul-o-ġhuncha  meñ  shāmil  haiñ  sabhī
haa.e  vo  rañg  jo  ab  harf-e-ḳhizāñ  bhī  hoñge
jab  shaguft-e-gul-e-bādām  kī  rut  aa.egī
ko.eTe  ko  nahīñ  bhūleñge  jahāñ  bhī  hoñge
avvalīñ  diid  meñ  hī  apnī  nigāheñ  kho  kar
zindagī-bhar  tirī  jānib  nigarāñ  bhī  hoñge
ḳhud-numā.ī  ke  liye  bante  ho  mazlūm  'nasīm'
zaḳhm  khaa.e  haiñ  to  kuchh  un  ke  nishāñ  bhī  hoñge