Daniyal Tareer

ek bujhao ek jalao KHwab ka kya hai

Daniyal Tareer

1980

ek bujhāo ek jalāo ḳhvāb kyā hai

āñkhoñ meñ rakh kar so jaao ḳhvāb kyā hai

pāñv-tale hai rauñd ke guzro kuchal ke dekho

pīchhe jaao aage aao ḳhvāb kyā hai

shelf pe ulTā kar ke rakh do aur bisrā do

gul-dānoñ meñ phuul sajāo ḳhvāb kyā hai

ḳhvāb kyā hai raat ke naqsh-o-nigār banāo

raat ke naqsh-o-nigār banāo ḳhvāb kyā hai

niiñd milī hai guḌ se mīThī shahd se shīrīñ

gaao nācho nācho gaao ḳhvāb kyā hai

lā-yānī hai sab lā-yānī ya.anī ya.anī

aur kahānī likh kar laao ḳhvāb kyā hai

ek kabāḌī galiyoñ āvāz lagā.e

raakh ḳharīdo aag ke bhaav ḳhvāb kyā hai

Top Urdushayar.com