Aliuddeen Naved

ehsas dekh pae wo manzar talash kar

Aliuddeen Naved

ehsās dekh paa.e vo manzar talāsh kar
āñkheñ jo haiñ to bū-e-gul-e-tar talāsh kar
merā vajūd jazb huā tere jism meñ
ab mujh ko apne jism ke andar talāsh kar
tanhā.iyoñ ke gahre samundar meñ Duub jā
zaḳhmoñ ke phuul dard ke gauhar talāsh kar
terā badan to TuuT gayā vasl hī kī shab
ab aa.ine meñ ḳhud ko na din bhar talāsh kar
har dil se māñgtā hai jo taaza lahū kī bhiik
bastī meñ koī aisā gadāgar talāsh kar
maiñ thak gayā huuñ ḳhaak bayābāñ kī chhān kar
mauj-e-nasīm tū hī mirā ghar talāsh kar
dasht-e-vafā meñ yuuñ na bhaTak dar-ba-dar 'naved'
sar ban gayā hai bojh to patthar talāsh kar
Top Urdushayar.com