raas  aayā  hai  mujhe  vahshat  meñ  mar  jaanā  mirā
vo  mujhe  ro.e  ye  kah  kar  haa.e  dīvānā  mirā
ġhair  ko  saaqī  ne  jab  bhar  kar  diyā  jām-e-sharāb
āñ.suoñ  se  ho  gayā  labrez  paimānā  mirā
mere  rone  par  vo  un  kā  muskurānā  baar  baar
aur  balā.eñ  le  ke  vo  qadmoñ  pe  gir  jaanā  mirā
hazrat-e-nāseh  kī  bāteñ  maiñ  samajhtā  hī  nahīñ
nā  samajh  haiñ  dil-lagī  samjhe  haiñ  samjhānā  mirā
ai  'rasā'  vo  bhī  sharīk-e-mahfil-e-mātam  hue
ḳhizar  bhī  marte  haiñ  jis  par  vo  hai  mar  jaanā  mirā