nīchī  nazroñ  se  na  dekho  sar-e-mahshar  dekho
dād-ḳhvāhoñ  kī  taraf  aañkh  uThā  kar  dekho
ho  ke  shamshīr-ba-kaf  sair  ghaḌī  bahr  dekho
marne  vāloñ  kī  vafā  teġh  ke  jauhar  dekho
aah  kaisī  kabhī  shikva  bhī  tumhārā  na  kiyā
aaise  ham  zabt-e-mohabbat  ke  haiñ  ḳhūgar  dekho
va.ada-e-hashr  hai  parda  bhī  zamāne  bhar  se
koī  dāman  na  pakaḌ  le  sar-e-mahshar  dekho
un  ko  dushman  se  jo  ulfat  hai  to  parvā  na  karo
ai  'rasā'  tum  bhī  kisī  aur  pe  mar  kar  dekho