pī  ke  kar  letā  huuñ  tauba  jab  se  ye  dastūr  hai
dil  bhī  raushan  hai  mirā  muñh  par  bhī  mere  nuur  hai
aah  kartā  huuñ  to  barham  ke  liye  hote  ho  tum
dard-mandān-e-mohabbat  kā  yahī  dastūr  hai
ġhair  se  milne  ke  shikve  par  qayāmat  Dhā  gayā
un  kā  ye  kahnā  ki  dil  se  aadmī  majbūr  hai
maiñ  savāl-e-vasl  kar  ke  us  adā  par  miT  gayā
hañs  ke  farmāyā  ki  ye  darḳhvāst  nā-manzūr  hai
hashr  meñ  allāh  se  fariyād  un  ke  zulm  kī
ai  'rasā'  ye  baat  to  shart-e-vafā  se  duur  hai