ye havā kaisī chalī barham zamāna ho gayā
hāl-e-dehlī bazm-e-ālam meñ fasāna ho gayā
dil kisī fard-e-bashar kā ḳhālī is ġham se nahīñ
ġham ye shaa.e kū-ba-kū ḳhāna-ba-ḳhāna ho gayā
har sar-e-mizhgāñ na ho favvāra-e-ḳhūñ kis tarah
ġham-zadoñ ke dil meñ jab ġham kā ḳhazāna ho gayā
ek ho to roiye kis kis ko ro.eñ yaad kar
dekh kar us hādisa ko dil dīvāna ho gayā
dekhte hī dekhte āñkhoñ meñ aage apne yaañ
dam ke dam meñ aur hī kuchh kārḳhāna ho gayā
aah gulgūn-e-bahār-e-gulshan dehlī ko 'aish'
mauja-e-bād-e-ḳhizāñ kyā tāziyāna ho gayā