Hakeem Aagha Jan Aish

haal dil ka use jatana kya

Hakeem Aagha Jan Aish

haal dil kā use jatānā kyā
na sune jo use sunānā kyā
aa.e jab aage aise zālim ke
jaur-e-gardūñ se muñh chhupānā kyā
ham se chaltā hai TeḌh kī ai lo
ho gayā hai falak divānā kyā
sarfaroshoñ kī hai ye ain murād
kū-e-qātil meñ jā ke aanā kyā
pūchhte kyā ho maskan-e-āshiq
be-gharoñ kā ajī Thikānā kyā
jān-o-dil le ke ab ḳhafā hai kyuuñ
ham ne kahnā tirā na maanā kyā
dil-e-ḳhud-rafta kā ilaaj kare
koī nādān aur daanā kyā
le ke dil jo ki dushman-e-jāñ ho
'aish' aise se dil lagānā kyā
Top Urdushayar.com