vasl  kī  raat  vo  tanhā  hogā
us  pe  hālāt  kā  pahra  hogā
niiñd  kyuuñ  TuuT  ga.ī  āḳhir-e-shab
kaun  mere  liye  taḌpā  hogā
ḳhushbueñ  phuuT  ke  roī  hoñgī
gul  havāoñ  meñ  jo  bikhrā  hogā
vādī-e-zehn  se  uThtā  hai  dhuāñ
qāfila  yādoñ  kā  Thahrā  hogā
jaane  kis  haal  se  guzrī  hogī
phuul  jis  shāḳh  pe  utrā  hogā
yaad  ā.eñgī  hamārī  ġhazleñ
zikr  jab  taaza  havā  kā  hogā
chāñd  ko  dekh  ke  chhat  par  'anjum'
saaya  dīvār  se  niklā  hogā