hazāroñ  saal  chalne  ki  sazā  hai
batā  ai  vaqt  terā  jurm  kyā  hai
ujālā  kaam  par  hai  pau  phaTe  se
añdherā  chain  se  soyā  huā  hai
havā  se  laḌ  rahe  bujhte  diye  ne
hamārā  zehn  raushan  kar  diyā  hai
vo  suraj  ke  gharāne  se  hai  lekin
falak  se  chāñdnī  barsā  rahā  hai
badan  par  raushnī  oḌhī  hai  sab  ne
añdherā  ruuh  tak  phailā  huā  hai
sunā  hai  aur  ik  bhūkā  bhikārī
ḳhudā  kā  naam  lete  mar  gayā  hai
vahī  ham  haiñ  na.ī  shakloñ  meñ  'anjum'
vahī  sadiyoñ  purānā  rāsta  hai