ab  sochiye  to  dām-e-tamannā  meñ  aa  ga.e
dīvār  o  dar  ko  chhoḌ  ke  sahrā  meñ  aa  ga.e
tasvīr  the  jo  avvalīñ  sarshāriyoñ  meñ  log
vo  zaḳhm  ban  ke  chashm-e-tamannā  meñ  aa  ga.e
un  se  bhī  pūchhiye  kabhī  apnī  zamīñ  kā  karb
jo  sāhiloñ  ko  chhoḌ  ke  dariyā  meñ  aa  ga.e
vahshat  ne  yuuñ  to  ḳhuub  diyā  har  qadam  pe  saath
lekin  tire  fareb-e-dil-ārā  meñ  aa  ga.e
is  anjuman  meñ  anjum  o  zohra  bhī  the  magar
ham  shab-guzīda  sehr-e-surayyā  meñ  aa  ga.e