bahār  ban  ke  mire  har  nafas  pe  chhā.ī  ho
ajab  adā  se  mirī  zindagī  meñ  aa.ī  ho
tumhārā  husn  vo  tasvīr-e-husn-e-kāmil  hai
ḳhudā  ne  ḳhaas  hī  lamhoñ  meñ  jo  banā.ī  ho
sharāb  hai  na  sahar  hai  magar  ye  aalam  hai
kisī  ne  jaise  nigāhoñ  se  mai  pilā.ī  ho
tirī  tarah  hī  gurezāñ  hai  niiñd  bhī  mujh  se
qasam  hai  terī  jo  ab  tak  qarīb  aa.ī  ho
tū  us  nigāh  se  pī  vaqt-e-mai-kashī  'tābāñ'
kī  jis  nigāh  pe  qurbān  pārsā.ī  ho