ḳhushī  kī  baat  aur  hai  ġhamoñ  kī  baat  aur
tumhārī  baat  aur  hai  hamārī  baat  aur
koī  agar  jafā  kare  nahīñ  hai  kuchh  gila  mujhe
kisī  kī  baat  aur  hai  tumhārī  baat  aur
huzūr  sun  bhī  lījiye  chhoḌ  kar  ke  jā.iye
zarā  sī  baat  aur  hai  zarā  sī  baat  aur
qit.a  rubā.ī  aur  nazm  ḳhūb-tar  sahīh  magar
ġhazal  kī  baat  aur  hai  ġhazal  kī  baat  aur
zabāñ  se  'tābāñ'  mat  kaho  nazar  se  iltijā  karo
zabāñ  kī  baat  aur  hai  nazar  kī  baat  aur