ilāhī  ḳhair  ho  ab  apne  āshiyāne  kī
nigāheñ  us  kī  taraf  phir  uThīñ  zamāne  kī
havā-e-tund  guzar  jaa.e  sar-nigūñ  ho  kar
ik  aisā  āshiyāñ  koshish  karo  banāne  kī
ḳhizāñ  ke  aane  se  ho  jaa.eñ  ġham-zada  jo  phuul
unheñ  qasam  hai  bahāroñ  meñ  muskurāne  kī
kisī  kī  barq-e-nazar  se  na  bijliyoñ  se  jale
kuchh  is  tarah  kī  ho  ta.amīr  āshiyāne  kī
vo  pūchhte  haiñ  ki  din  kis  tarah  guzarte  haiñ
ye  koī  baat  hai  'tābāñ'  unheñ  batāne  kī