na.e  charāġh  na.ī  raushnī  atā  karte
agar  purāne  diye  un  se  kuchh  vafā  karte
maiñ  zindagī  tere  ehsān  meñ  dabā  hī  rahā
ik  umr  guzrī  tirā  qarz  bhī  adā  karte
tujhe  bhī  aate  musāfir  salām  manzil  ke
ba-sad-ḳhulūs  jo  tere  qadam  uThā  karte
ḳhudī  pasand  anāsir  hayāt  ki  ḳhātir
jo  ehtijāj  na  karte  to  aur  kyā  karte
samajh  se  kaam  jo  letā  har  ek  bashar  'tābāñ'
na  hāhā-kār  hī  machte  na  ghar  jalā  karte