sitam  hai  apnā  kisī  ne  banā  ke  luuT  liyā
mirī  nazar  se  nazar  ko  milā  ke  luuT  liyā
harīm-e-nāz  ke  parde  meñ  jo  nihāñ  thā  kabhī
usī  ne  shoḳh  adā.eñ  dikhā  ke  luuT  liyā
rahā  na  hosh  mujhe  us  ke  ba.ad  phir  kuchh  bhī
kī  jab  kisī  ne  muqābil  meñ  aa  ke  luuT  liyā
ajiib  naaz  se  ulTī  naqāb-e-ruḳh  is  ne
kī  mujh  ko  rūh-e-munavvar  dikhā  ke  luuT  liyā
lo  ham  bhī  aaj  to  'tābāñ'  fareb  khā  baiThe
kisī  ne  yūñhī  mohabbat  se  jā  ke  luuT  liyā